Dil-e-azeez Mehman Ho Gaye…
Hawa ke jhoke ki tarah
Aur dil ka haseen arman ho gaye
Pehli hi mulakat mein voh
Dil ki gali ka sabse dile-azeez mehman ho gaye
Unse hui thi pehli mulakat un raaston par
Jahan aabadi ka naamo nishan na tha
Par shayad unhi sunsan rahoon par
mohabat ki hawaoon ka chalna likha tha
Pehli mulkat kuch ajeeb thi
Voh mere kadamon se kadam mila kar chal rahi thee
Unki hare ek dhadhkan mere dil ke kareeb thi
Samaa bahut suhaana tha, Kuch sarad hawa chal rahi thi
Raat subah ki aur badi teji se badh rahi thi
Ab voh apne ateet ke sabse haseen kisse sunane lagi
Aur kaii razoon se partte hatane lagi
Voh kehti rahi, aur mein suntta rahaa
Dil ki dhadhkane badti rahi, Mausam badlta rahaa
Jab apni kehte kehte voh thak jaate
To kehte ke mein kuch kahoon
Kuch der ki khamoshi ke baad mein kehta
“
Zindagi se berukhi meri
Awargi bandagi meri
Mehfilon mein khokhle kehkahe mere
Waqt ke saath badalte chechre mere
Bandh kitab sii zindagi meri
Berukha sa mera itihaas
Kyoun ateet ke panne jala rahe hai mera aaj
Kaise kehta ki mein kya hoon
Jurm hoon ya sazaa hoon
Kaise samjhata unhe
Apne kis “main” se milwata unhe
Voh kehti rahi mein suntta rahaa
Yeh mulakat khatam naa ho yeh dua karta rahaa
Voh khene mein masruff thi, mein sunn.ne mein
Voh ateet ke haseen pannooon mein gum thi
Mein aane wale kal ke haseen khawab bun rahaa tha
Tanhaa zindagi aur gumnam maut ko apna mukadar maan chukka tha
Bewajh hi kat jayega yeh safar jaan chukka tha
Socha na tha ki koi shaqs dil ka darwaja khatkhta ye gaa
Humrahi, humsafar ban jayega
Voh pehli mulakat mein unjaan se jaan ho gaye
Dil ki gali ka sabse dile-azeez mehman ho gaye…
© Rajat Narula – 13th Sep’07
Hey, It sounds like you are madly in love, quite inspiring.